Horror Nights with friends...4

Ab hum teeno us guffa me the me aur Raj humare saath nahi tha ...humne to pata hi nahi tha ki vo kaha tha.....hum teeno bht dar gaye the ...meri kuch samhj me nahi aya ki achanak se ye gate kaha se aa gaya
aur neeraj aur karan kaise honge ....Shalu mujse boli "Yaar hume koi aur gate dhundna chahye".......
Gourav bola "yaha pe koi aur gate hai hi nahi asa ise ne kaha tha".........................................

Hum teeno Guffa ke andar the Time tha kuch......2.00 PM........

Me Soch raha tha ki asa kaise ho sakta hai...Is guffa ka gate apne aap hi kaise close ho sakta hai..aur Raj ke saath aakhir hua kya .??.... Ek Tarf Gourav tha jo saara dosh mere uper daal raha tha... Us wakt hum teeno hi dare hue the aur maine Shalu se bola"Yaar ek kaam karte hai raj ko dundte hai ho sakta hai vo mil jaaye"....Shalu Boli "Kapil tu pagal ho gaya hai kya tune dekha nahi yaaha pe koi bhoot hai....Yaha pe kuch to galat hua hai"... maine kaha"to pagal hum yaaha  pe to nahi bathe rah sakte..hume kuch to karna hoga"....Shalu boli "Dekh bhahar Neeraj aur Karan hai aur vo log jaante hai ki hum Sab yaha pe fas gaye hai..to vo hume bhahar nikane ki koshish jarur karenge"...Gourav Bola"Ye pagal ho gayi hai vo log is
kille se bahar chale gaye honge"...Maine kaha"Nahi yaar gourav asa nahi ho sakta"... Shlau boli"to bata fir hume kya karna chahye " ....Maine kaha"Phle to hume is guffa se nikalne kaa raaste dhundna chahye"....Ye baat sunke Gourav Bola"Saale Tune hi to kaha tha na ki is guffa se nikalne kaa koi aur rasta nahi hai"....Maine kaha"To sun ab me hi kah raha hu ki Shayad ho sakta hai ki koi dursa rasta ho..."...Shalu boli "Chalo yaar yaaha se nikalte hai..."..........

Aur hum teeno waha se aage badne lage... Hum teeno bht buri tarah se dare hue the... Hum teeno chal rahe the ke achanak se dubara hume kisi ke chikne ki voice sunayi deti hai... Voice sun kar hum wahi ruk jaate hai....Gourav Bola "Bhai kya ye hai mujhe kuch samhj me nahi aa raha"... Maine kaha"Chal dekhte hai aakhir ye hai kon"...Shalu Boli"Yaar tum pagal ho gaye ho kya tumne dekha nahi raj ke saath kya hua"..... Maine kaha"uske baare me bad me sochnge ...Aur waise bhi hume us taraf hi jaana hai"....Gourav bola "Bhai mujhe lagata hai hume yaahi rukna chahye"...maine kaha"Nahi yaar hume chalna chahye ab chalo yaar"....Shalu Boli"Nahi kapil,,, Gourav sahi bol raha hai hume yahi rukna chahye"....Maine kaha "To fir thik hai tum dono yahi ruko me jaa raha hu"....Shalu boli"Nahi yaar kapil hum sabko saath me rahna chahye"..... Gourav Bhi
bola "haa yaar kapil Shalu sahi bol ri hai".....Maine kaha"Shalu ab kya hua... phle to tu us chikne ki awaaz sunke bol ri thi...,ke Savita chilla rahi hai chal na dekhte hai...but ab Savita nahi chilla rahi"....Shalu Boli"Phle mera dimag kharab tha ab sahi ho gaya.. so samhj yaar hume yahi rukna chahye"................ Un logo ne mujhe bht samjane ki koshish ki but maine kisi ki nahi suni aur akela hi aage chala gaya..yaha se vo chikne ki awaaz aayi thi. Thoda sa aage chalne ke bad maine piche mood dekha to mujhe Shalu aur gouarv dikhna band ho gaye,, kyuki waha pe bht andhera tha..but fir bhi me aage badne laga ..ekdam se mujhe laga ki mere piche koi khada hai ...me dar gaya ..... aur me sochne laga ki kya mujhe piche mood ke dekhna chahye
..Me ekdam se piche muda aur maine dekha ki waha pe koi nahi tha .......Me fir se aage badne laga .........

Ab me kaafi andar aa chaka tha .Waha pe bht andhra tha aur me apni phone ki light ki help se aage bad raha tha ... but  mujhe kuch ajeeb sa muhsus hua , mujhe laga ki mujhe koi bula raha hai maine dhiyaan se us awaaz ko suna ..vo awaaz jaha se aa ri thi us jagah se me jada dur nahi tha.... To me us jagah ki taraf jaane laga.. Me dara hua tha aur me ye soch raha tha ki aakhir waha kya hoga ....Kya mujhe waha jaana chahye ya nahi, ye saari baate mere dimaag me chal rahi thi.. but fir bhi me us tarf jaane laga , jaise jaise me waha jaa raha tha waise waise vo awaaz bhi bad rahi thi... Me ruka aur fir dhiyaan se us voice ko sunne laga, waha pe bht saare rooms bane hue the , aur me ye nahi jaanta tha ki vo voice kon se room me se aa rahi,
 hai mujhe samhj nahi aa raha tha ki me kya karu ,,, to maine Gourav ko awaaz lagayi .. but gourav kaa koi response nahi aaya Aur vo awaaz bhi mujhe sunayi de rahi thi , jaise ki  koi Roo raha ho . aur us ko help ki jarurat ho. Maine awaaz lagayi. "Kon hai waha pe".... but waha se koi response nahi aaya ....but kuch dar tak response naa aane ke bad kisi ne mera naam bola Vo awaaz meri right side se aayi thi ....aur waha pe ek room tha , me us room ke andar chala gaya......Aur jo maine waha dekha usko dekh kar meri halat kharab ho gayi thi. waha pe Savita thi,,,, Aur uske haath kisi ne baandhe hue the, maine usi wakt uske haath khol diye, Aur Savita ne mujhse bola "kapil chal yaar yaha se chal jaldi chal"...Maine kaha "vo sab to hai but tu mujhe ye bata ki tere haath kisine baandhe"....Savita boli"yaar kapil mujhe dar lag raha hai yaha se jaldi nikalte hai"...maine Kaha "vo sab to thik hai but mujhe ye to bata tere hath kisne baandhe ,, aur tu yaha kya kar rahi thi" ....Savita boli "yaar mujhe kuch bhi yaad nahi hai,, ki me yaha kaise aayi, but meri baat samhj yaha se nikalte hai".....maine kaha "nikalna to me bhi chahta hu yaha se but nikal nahi paa raha hu"... Savita boli"baaki sab kaha hai kapil".....maine kaha"Shalu aur Gourav kaa to mujhe pata hai baaki sabka nahi"... Savita boli "Kaha hai vo dono"...Maine kaha"vo dono is guffa ke gate ke pass hai .. but maine tere baare me kuch suna hai"...Savita boli "mere baare me ?? mere baare me kya ??".....Maine kaha "yehi ki tu Karan ko maarna chahti hai"....Savita boli "kapil mujhe to pata hi nahi ki karan kaha hai , aur me kyu maarungi usko".... Maine kaha "vo sab mujhe nahi pata but asa mujhse neeraj ne kaha,,, ki tu karan ko maarna chahti thi aur usko bhi"..... Savita boli "mujhe lagta hai neeraj pagal ho gaya hai ... yaha pe me khud dari dari ghum rahi hu, Yaha pe kuch na kuch to gadbad hai"....Maine kaha "vo to hai kuch to hai yaha pe"..........

Me aur Savita guffa ke andar hi chal rahe the...Time tha kuch.......2.25 PM...

Hum dono saath me hi chal rahe the aur mujhe baar baar Neeraj ki baate yaad aa ri thi...... kabi kabi mujhe lagta ki syayd me kisi bhootni ke saath to nahi chal raha ..... to fir me sochta nahi yaar ye to Savita hi hai, ..... Savita boli "kapil yaha se gate kitna dur hai"....maine kaha"gate to jada dur nahi hai"....Aur maine usko Raj ke baare me bataya aur ye baat sun ke vo aur bhi dar gayi, Fir vo mujse boli "to tum Raj ko dhundne nahi gaye kya..??"....maine kaha "maine dhunda but uski jagh tu mil gayi"....Savita boli "chal ye bhi acha kam se kam tumne mujhe to dhunda me waha bht dar gayi thi"...Maine kaha "to kya ab dar nahi lag raha hai"....Savita boli "bakwas band kar yaha pe Raj gayab hai pata hai na".........Hum dono apas me baat hi kar rahe the ki achnak se humaare samne koi aa gaya.... vo humse kuch kadmo ki duri pe tha ..waha pe bht
andhera tha uska chahra hume nahi dikh raha tha, bus ek kaali si parchayi thi.. maine bola "kon ho tum"....but usne koi response nahi diya...maine fir se pucha..... but koi response nahi... Hum dono buri tarh se dar gaye the ... aur ekdam se vo banda humari tarf aane laga ..... Aur jaise hi humne dekha ki vo banda humari tarf aa raha tha to hum ulti taraf bhagne lage... humne piche mood ke nahi dekha aur andar ki tarf jaane lge .... Kariban 2 se 3 min bhagne ke bad hum ruke ..aur humne piche mood ke dekha but hume kuch nahi dikhayi diya....hum samhj hi nahi paaye ki vo kya tha... Savita boli "kapil yaar vo kya tha aur kon tha"....maine kaha "mujhe pata hota to me bhagta nahi"......But hum dono bhagte bhagte ek alag hi jagah aa chuke the...... us jagah se ek ajeeb se hi Smell aa rahi thi....waha pe saas lena bhi mushkil tha ....to Savita boli "yaar yaha
pe kuch jada hi Smell aa ri hai hai ajeeb si, chal yaha se nikalte hai,,mujhe dar lag raha hai"....maine kaha "haa yaar chal nikal"...aur hum dono ulti tarf hi chane lege....aur thodi dur hi chalne ke bad hum dono ruk gaye..... kyuki waha se 3 raste aur jaa rahe the ...me samhj gaya tha ki ye guffao ka jhaal hai ..phle ke log asa ki banate the .... Savita boli "chal kapil us tarf chalte hai"....maine kaha "nahi yaar hume kya pata ki us tarf kya hai ..yaa vo rasta bhahar hi jaate hai".... Savita Boli "to kya hum yahi pe ruke rahenge"........ waha pe humare aas pass bht saare rooms bhi the. aur waha pe bhi Smell aa rahi thi... achanak se savita ki nazar uper padi... aur usne zoor se chilaya ...maine pucha "Kya hua ...???"......USne bola "vo dekh"....aur jab maine
uper dekha to diwaar pe kisi ki dead body latki hui thi....Hum dono usko dekh kar dar gaye .... aur jab humne phone ki light ko idar udar yaani uske aas paass maara ..to waha pe bht saari dead body thi.... kaafi purani thi vo sab ...hum samajh gaye the ki ye Smell kaha se aa ri thi.... hum bus waha se jald se jald nikalna chahte the .... aur hum un 3 Rasto me se bich wale raste me chale gaye ........aur bus chalte rahe ...hum bht dar chuke the ... humne piche mood ke nahi dekha bus aage chalte rahe ..but ekdam se hume kisi ke baat karne ki awaaz sunayi di.... hum wahi ruk gaye .... Maine pahchan liya vo Neeraj ki awaaz thi .. jo ki right side se aa rhi thi... Savita ne bola "yaar mere khayal se vo lag yaha hai...".. humne us taraf dekha to waha pe ek room tha .. me bina kuch soche samhje andar chala gaya .... aur jo maine waha dekha usko dekh ke me khush ho gaya .. us room me ek window thi... aur us window ke us tarf ek choti si guffa bani hui thi.. jisme se lete kar shyad yaaha se bhahar nikala jaa skata tha .. me samjh gaya tha ..ki ho na ho..Karan aur Neeraj us taraf hi honge .....meri piche piche Savita bhi aa gayi........



ab mujhe lag raha tha ki shyad hum yaaha se bhahar nikal sakte hai ....MAine Savita ko bola "vo dekh yaar waha pe ek rasta hai jiske saahaare hum bhar jaa sakte hai"..... Savita boli "vo to thik hai but hum jaayenge kaise..."...maine awaaz lagayi karan ko ..Waha se karan ki awaaz aayi.."kapil kya tu hai"...maine kaha "haa bhai me hi hu me yaha pe fassa hua hu".....karan bola "me samjh nahi paa raha hu ki tu kaha se bol raha hai".....vo meri location nahi pata laga paa raha tha... To maine dubaara se bola "bhai me yaaha hu ... dekh tere ass pass koi choti si guffaa to nahi hai"........Karan bola "Tu uske andar hai kya ....ruk me ata hu"...
me aur Savita wahi khade the aur hum kuch asa dhund rahe the jisse hum us window me lage jaali ko tod sake...... Ab karan us guffa ke andar aa chuka tha... maine usko dekha vo us window ke us taraf tha ..... Karan bola "bhai yaha se bht asaani se bhahar aa sakte hai ..lakin Shalu aur gaurav kaha hai".....maine kaha "maine un se aane ko kaha tha but vo lag dar gaye the to vo dono usi jagah pe hai..mere saath bus Savita hai"......Karan bola "Savita kaha hai Savita"......Savita boli "me ye ri karan"......but karan Savita
 ko dekh kar dar gaya aur bola "tera dimaag kharab ho gaya hai ye Savita nahi hai...ye chudal hai isne mujhe maarne ki koshish ki thi."......Savita boli "karan tu pagal ho gaya hai me kyu maarungi tujhe"......karan bola "Chup kar chudal"...... Savita boli "kapil ye bakwas kar raha hai me koi chudal nahi hu"....  Karan bola "Chup ho jaa kamini,, kapil ye chudal hai Saali kaa sir faad de abi"......Savita Boli "karan please bus kar ...kapil tu iski baat me mat aa iska dimaag kharab ho gaya hai."....Vo dono apas me hi lad rahe the ..me samjh hi nahi paa raha tha ki sach kon bol raha hai...But fir bhi maine karan se bola "bhai abi ye
saari baate chordd phle yaaha se bhar nikaal".....Karan bola "bhai samhja kar ye chudal hai'....maine kaha "agr ye chudal hoti to abi tak mujhe maar chuki hoti..but isne nahi maara"....Karan bola "bhai isme iski koi chaal hai samjha kr"...maine kaha "bhai me samjh gaya ab dekh bhar kuch hai jisse hum ye window ko tod saake"....karan bola "tu mujhe bhi marwaayega....ruk dundta hu"...aur usne neeraj ko awaaz lagai aur usse kuch chiz jisse hum ye window tod sake dundne ko bola....

Time tha kuch............3.00 PM.......

Neeraj ne ek danda karan ko diya ..aur maine ek pathar lekar us window pe maarne laga.... Karan us tarf se us window ko ..to me is tarf se window to tod raha tha..... kuch dar bad window tot gayi.. aur waha se bhahar nikalne kaa rasta ban gaya... maine phle Savita ko bhahar nikala .....karan ne uska haath khich ke usko nikal liya....uske bad me bhi usi raste se bhar nikal gaya ..aur bhahar nikalte hi....Neeraj Savita ko dekh kar dar gaya ....aur bola "kapil ye chudal hai"......Savita boli "Yaar tum dono pagal ho gaye ho me koi chudal nahi hu...".....Maine kaha "bus karo yaar ...vo koi chudal nahi hai ...agr chudal hoti to ab tak mujhe maar chuki hoti.."...Karan Bola "bhai me fir se kah raha hu, iski koi chaal ho ye"...... Savita boli "yaar me to khud hi dari hui hu aur sab mujhe chudal bol rahe hai.."....Maine kaha"vo sab chordo shalu aur Gaurav ko leke yaaha se nikalte hai"..Neeraj bola "but yaar waha to bht saare pathar gire hue hai..hum wahi se aa rahe hai".....karan Bola"muhe to saala ye samjh me nahi aa rha hai ki ekdam se itne saare pathar kaise gir gaye"....Maine kaha "bhai ye bht purana killa hai gir sakte hai pathar...but ab hume shalu aur gaurav ko leke aana chahye"....Neeraj bola "vo to thik hai but leke kaise aaye"....Maine kaha "hume ye wala rasta to pata hi hai to hum yaaha se andar jaayenge aur un logo ko bhahar lekar aa jayenge"....Savita boli "kya..?? wapas dubara is gandi si guffa me,, No yaar".....Neeraj bola "me dubaara is guffa me nahi jaaunga"....Maine kaha "thik hai fir tu aur savita yahi ruko hum dono jaate hai"....Neeraj bola "tera dimaag kharab ho gaya hai is chudal ke sath me ruku"....Savita boli "me koi chudal nahi hu..Dimaag me ye baat daal le".....Neeraj bola "mujhe mat sika mujhe kya karna hai, maine khud dekha tha tujhe karan ko maarte hue"....Maine kaha "bus yaar ab lado mat...ek kaam karte hai saare ke saare chalte hai"....Savita boli "kapil tujhe pata hai ne ki andar kya hua tha ..aur humne kya dekha tha ...iske bad bhi tu andar jaana chahta hai"...maine kaha "dekh
Savita Gaurav aur shalu andar hai un logo ko nahi pata ki bhahar kaise aana hai ... aur agr is kille me sach me koi chudal hai to hum log un dono ko marne ke liye kaise chordd sakte hai..."....karan bola "haa Tu sahi kah raha hai yaar ,.. Hum sab chalte hai.. koi yaha pe akela nahi rukega"..........

Aur hum sab fir se ek baar us guffa me chal diye..... Savita aur maine Rasta dekha hua tha...to hum un dono ko usi raste pe leke jaane lage..... but thoda dur chalne ke bad hum sabko kisi ke rone ki awaaz ane lagi ...vobhi bht zoor zoor se ... kisi ladki ki awaaz thi vo... hum sab wahi pe ruk gaye..... aur Neeraj bola "dekha bhai ye chudal hai ye jaanbuj ke hume yaaha laayi hai ... aur iski saheli bhi hogi yaha pe".......Savita boli "Neeraj tu pagal ho gaya hai me yaha dari hue hu."....Neeraj bola "chup ho jaa chudal ...tu hi hai saari fasaad ki jad...."..maine kaha "bus guys..chup ho jaayo"....aur yaaha se bhago jitna jaldi bhad sakte ho....aur jitna tej......aur hum sab waha se bhagne lage ..but ekdan se Karan kisi se takraaya aur gir gaya .... Neeraj ne usse uthaya ....maine dekha ki vo shalu se takraaya tha,,, Waha shalu bhi gir gayi thi. maine shalu ko uthaya ..
aur pucha "Tu to waha thi na ...yaha pe kya kar rahi hai"......Shalu boli "me bhi yaha se bhahar nikalne kaa rasta dhund rahi thi"... maine pucha "Gaurav kaha hai...????".......Vo boli "Gaurav vo to abi yaahi tha mere saath...pata nahi kaha chala gaya"....Maine kaha"dekh shalu mazak mat kar bata gaurav kaha hai".....Shalu boli "tu mujse kis tarh baat kar raha hai yaar me sach bol rahi hai vo yaahi tha abi ..turst me kapil".......Karan ne gaurav ko awaaz lagayi .... achanak se gaurav ki awaaz ayi ....""" bhai nikalo yaha se aur is shalu se dur raho"""" .... karan bola "Shalu se dur rahe mtlb kya hai tera.... "...Gaurac bola "karan ye bhootni hai  ..aur hum sabko maar degi..ye isi ki chaal thi tum sabko is guffa ke andar laana"...... Shalu boli "kya bakwas kar raha hai ye me koi bhootni nahi hu".....aur hum sab kuch samjh hi nahi paa rahe the ki kon hai chudal ....... kyuki Neeraj aur Karan Savita ko chudal kah rahe the ,,to garav Shalu ko.........................

Karan bola "bhai gaurav shant ho jaa... mujhe lagta hai ki yaah kuch jada hi gadbad hai..koi hai jo hume aapas me hi ladwana chahta hai".....Maine kaha"chordo ye saari baate bus yaaha se nikalte hai".....Neeraj bola "Aur raj kaa kya hoga"....Gaurav bola "jis tarike se vo gayab hua tha mujhe lagata hai ki vo hume nahi milega"..............

Aur hum sab wapas usi raste pe chal diye....Time tha kuch.....3.20 PM......


Hum sab chal rahe the ...lakin achanak se kisi ne gaurav ko laat maari ...aur gaurav humaare aage ki taraf aake gir gaya ... piche se Karan ke chillaane ki awaaz aayi....maine piche mood ke dekha ....... to bus meri aakh khuli ki khuli rah gayi.......Neeraj mere right side me gira hua tha ...aur Shalu ne Karan ko apne ek hath se upr hawa me diwaar ke saahaare utha rakha tha ......shalu kaa chahra mujhe nahi dikh paa raha tha  ...kyuki uske baaal uske chahre pe the .....aur uske baalo se khuun tapak raha tha ........ uske khade
hone kaa tarika bhi alag tha .....Savita ne pucha "Shalu ye kya kar rahi hai pagal ho gayi hai kya"..... Shalu ne koi jawab nahi diya ..Savita uske pass jaane lagi...but Shalu ne savita ko bhi dakka de diya ..... Aur shalu ne bola to hum sab aur bhi dar gaye..... kyuki vo uski awaaz nahi thi asa lag raha tha ki uske andar se koi aur  bol raha hai... Gaurav ne Shalu ko zoor se dakka diya..jiski wajh se karan zameen pe gir gaya ..... but shalu nahi giri ...but thodi dur jarur ho gayi .....maine pucha "Shalu kya ho gaya tujhe".....Shalu ne kuch bhi nahi bola ...aur ekdam se vo bhagti hui humare paas aayi aur garav ko utha kar dur fak diya ..... karan , maine aur neeraj ne Shalu ko pakad liya ,,but vo kisi ke kaabu me nahi aa rahi thi... Fir usne mujhe bhi dur fak diya ..... aur me kuch chaar se paach kadam dur jaake gir pada ...... Shalu ekdam pagal ho gayi thi....uska Behavior bhi puri tarh se change ho gaya tha ....waha se gaurav uth kar aaya aur shalu ko baandhne ki khoshish ki ..... usko dekh kar me bhi utha aur humne use kaafi koshish ke bad baandh hi diya .... but vo sirf yehi bol rahi thi....."""Chordo mujhe chordo mujhe""""  aur vo bhi uski awaaz bhi nahi thi .... maine asa nazaara apni life me phle kabi nahi dekha tha ..... fir vo ekdam se shaant ho gayi....aur bilkul chup ho gayi.... Savita ne pucha "kya hua shalu tujhe"............... But usne kuch bhi repy nahi kiya . humne sab dar gaye the pata nahi tha ki shalu ko achanak se kya ho gaya tha... vo bilkul shant ho gayi thi... kuch bhi nahi bol ri thi ,, aur fir Gaurav dheere dheere uske pass jaane laga..... Karan ne gaurav ko roka . but vo nahi maana ... aur uske paass jaane laga, but achanak se shalu khadi ho gayi.. but uske haath bandhe the.. aur shalu ekdam se us andheeri guffa me bhagne lagi... humari itni himmat hi nahi hui ki uske piche bhag sake hum sab wahi khade rahe............. Neeraj bola"bhai mujhe dar lag raha hai, isse kya ho gaya".......Karan Bola"Meri baat maano sab ke sab yaha se nikalte hai".....Savita Boli "Aur shalu kaa hoga"...Gaurav bola "tera dimag kharab ho gaya tune dekha nahi usko kya ho gaya, Karan tu sahi kah raha hai nikalte hai yaha se,,, maine to phli hi kaha tha tumse"....... Neeraj bola"Haa yaar chalo yaha se nikalte hai".........

Hum sab apas me baat kar rahe the...Time tha kuch 3.50 PM.......


Sab waha se nikalne ki baat kar rahe the sirf savita ko chord ke ,,, vo yaha se shalu ke bina jaane ke liye taiyaar hi nahi thi...........But humne use mana liya aur vo humare sath chale ke liye ready ho gayi... Hum sab bhagte hue us jagh pe jaana chahte the jaha se guffa se nikane kaa rasta tha .... hum sab bht taj bhag rahe hai the ... Aur jab hum bhagte bhagte thak gayi to hum wahi ruk gaye .... Aur achanak se karan ne kaha "Neeraj kaha hai"...Savita Boli "yaar vo to abi yahi tha".....Maine kaha "haa yaar abi to humare saath hi tha"........Gaurav ne neeraj ko awaaz lagayi...But koi response nahi aya .. Karan usko dhundne ke liye thoda piche jaane laga...... karan jaisi thoda aage bada..... Right side wale se kisi ne usko andar kich liya..... vo zoor zoor se chillane laga..... Hum sab us room ki taraf gaye.... but us room ka gate apne aap hi close ho gaya ....hum sabko kuch samjh hi nahi aaya.....gate andar se lock tha aur andar karan chilaa raha tha ......................... 


Karan ki chillane ki awaaz andar se aa rahi thi.... aur hum sab Bhahar se us gate ko todne ki koshish kar rahe the but vo gate nahi tuta.... Aur fir humne mil ke vo gate ko tod hi diya ... but humne andar dekha to waha pe koi nahi tha ... Gaurav ne karan ko awaaz lagayi.. but vo hume waha mila hi nahi.... Achanak se neeraj waha aaya ... aur bola kya hua ... Gaurav ne bola "Karan kaa kuch pata nahi ki kya hua uska"...Neeraj Bola"Are Karan to mere saath hai'...Uske bad karan left side se aaya aur bola "yaar me to yaha hu tum kya kar rahe ho andar"......Maine kaha"but tu abi andar tha tujhe to kisi ne andar kich liya tha"....Karan bola "yaar kapil pagal hai kya... ?? me tere saamne hu"....Gaurav bola "nahi yaar hum sabne
dekha tha"....Karan bola "acha to mtlb me bhoot hu"....Savita boli "guys chalo yaha se jald se jald nukalte hai.."...Maine kaha "haa yaar chalo yaha se nikalte hai"...Per jaise hi hum us room ke bhahar aaye .... to saamne shalu humare khadi thi.... Uske muh se khun gir raha tha.... aur asa lag rah the ki vo nashe me hai .. hum sab jitna phle nahi dare the usko dekh kar usse jada dar gaye............ hum sab kuch nahi bole.... but Shalu boli "koi nahi bachega .. jaise mujhe maara gaya waise hi sab maarnge".......Ye sunke Gaurav uske thoda sa paass jaake bolta hai .. "but humne tujhe nahi maara..."...Jaise hi Gaurav ye bolta hai ... usne apna haath uthaya ...aur gaurav hawa me udta hua dur jaake gir jaata hai........ Neeraj gaurav ko uthane jaata hai ... but vo apne dursre haath se Neeraj ko apne tarf kich leti hai ........ uske baad uska ek par pakad ke kichne lagti hai.... Neeraj chliila raha hota hai ...Karan usko bachane jaata hai but vo andheere me kahi gayab ho jaate hai...........

Time tha kuch.........4.15 PM..........

Ye sab dekh ke Savita bolti hai"yaar ye shalu nahi ho sakti hai".......Gaurav bolata hai "to tujhe ab pata chal raha hai, maine to us wakt bol diya tha"..Karan bola "bhai Neeraj kaa kya hoga".... Aur hum sab usi Raste pe chalne lagte hai jis Raste pe vo Neeraj ko lakar gayi thi... Thodi dur chalne ke bad hum sabko uski dead body milti ha....khun se lat pat........ Savita usko dekh kar aage bad jaati hai ... Kyuki asa dead body ka haal to koi animal bhi nahi karta jo Shalu ne kiya tha........ Gaurav bola "chalo yaar yaha se jaldi nikalte hai"........Aur karan bola "Saale teri wajh se hua hai ye"....Gaurav bola "maine thodi na maara hai isko ... Shalu ne maara hai isko"..........Karan bola "Saale na tu us din us neebo ko laat maarta aur na humare sath
ye sab hota".....Gaurav bola "kya bakwas kar raha hai...us neebo ka is baat se kya mtlb"......Karan bola "mtlb hai bhai.... mtlb hai mujhe pata hai"...Gaurav bola "tujhe pata hai ?? kya pata hai tujhe"...... Karan bola "mujhe pata hai kon hai ye aur kyu raha hai ye sab... ".... Savita boli "karan kya kah raha hai tu ...kon hai vo"..... Karan bola"Mujhe pata hai yaar".... Gaurav bola"kya pata hai tujhe hume bhi to bata".... Karan bola "Yehi vohi hai jise uske husband ne zinda hi jala diya tha, aur ye hum me se kisi ko zinda nahi chordgi...sabko maar degi".... Gaurav bola "tujhe kaise pata ye vohi hai"....Karan bola "yaad hai na tujhe me bol raha tha ki Savita Chudal hai, Ab mujhe sab samjh me aa gaya hai"..... Savita boli "but me chudal nahi hu"......Karan bola "tujhe nahi pata ye ..chudal tab se humare piche hai jab us raat humne us jagah pe auto rukawaya tha... tabi se ye chadal kabi Savita to Kabi Shalu ke andar hai"....... Savita Boli "mere andar nahi ho sakti koi chudal tu pagal kya hai".....Karan bola "Kapil Savita tujhe room me mili hogi na ,,aur uske haath badhe hoge.."...Maine kaha "haa yaar asa hi tha"....Karan bola "aur tune mujhe ye kabi nahi bataya ...kyuki iske haath maine hi baandhe the...kyuki us wakt ye mujhe maarna chahti thi..Aur usi wakt isne mujhe ye saari baate batayi kyuki us wakt iske andar chudal thi, aur ab vo shalu ke andar hai".......Maine pucha "but tune iske hath bandhe kaise , iske andar to us wakt chudal thi... Karan bola "me humesha apne gale me Om pahanta hu... aur us Om ko hi dekh kar ye dar gayi thi, aur tab maine iske haath baandh diye the".... Gaurav bola "to fir laa fir vo Om ..Shalu ko bhi padak lenge"... Karan bola "yehi to dikkat hai ..bhagte hue vo Om mujhse phle hi kahi gir gaya".................




Ab hum sabko sab kuch samjh aa gaya tha ... ki vo sabka ekdam se kho jaana,,,. fir sabka raat me hi milna ... ye sab uski chaal thi .......... ab hum sab bus yaha se nikalna chahte the..... Dheere Dheere chal ke hum us guffa se bhahar nikal gaye ..... thodi dur chalne ke bad ... humne Raj ki bhi dead body dekhi ... vo bhi guffa ke bhahar thi.... Aur usko dekh kar karan Bola "hum chahe jitni bhi koshish kar le but hum yaha se bhahar nahi jaa sakte"....Gaurav bola"Bhai asa mat bol ..Hum sab bhahar jayenge"........ hum sab guffa ke bahar the aur kille ke andar chal rahe the .... Aur achanak se hume kisi ke rone ki Awaaz sunayi di .... Humne piche mood ke dekha ... Aur vo shalu thi..... jo ki roo rahi thi...... phle to hum sab usko dekh kar dar gaye... but vo humse help mang rahi thi ... vo bol rahi thi "ki please mujhe bacha lo .... meri help karo".

Ye sanke Gaurav bola "yaar ye Shalu hai mujhe lagta hai vo chudal ab iske andar nahi hai"..Karan bola "nahi nahi yaar asa kuch nahi hai ye chudal hi hai".. Vo boli"nahi karan me chudal nahi hu.. please mujhe bacha le ....mujhe bht dard ho raha hai"...... Savita boli"haa yaaar Ye shalu hi hai ,dekh ye issi ki awaaz hai yaar" ....Maine Savita ko bola "nahi Savita tu aur gaurav pagal ho kya tumne dekha nahi ...isne neeraj aur Raj ko maar diya"....Shalu boli "nahi kapil please mujhe bacha le ..... " ..... Gaurav bola "bhai ise bhi apne saath lakar chalte hai .... "...Aur gaurav uske paass jaane laga ...Karan ne usko roka ... but usne kisi ki nahi suni ...aur vo uske pass jaane laga .... gaurav ne shalu ka haath pakad liya ...aur usko jaane ke liye kaha .... but us wakt shalu ne kuch reply nahi kiya .............thodi dar tak chup rahne ke bad achanak se ... shalu ne gaurav ke uper hamla kar diya .. usne apne daant gaurav ke gale me gada diye..... vo ekdam zombie ki tarh ban gayi thi ..... gaurav zoor se chillne laga .... me aur karan usko bachane ke liye gaye..... but shalu gaurav ko lakar padad se niche kuud gayi........ Hum to bus dekhte rahe ... 'Savita buri tarh se dari hui thi... aur us wakt bus humne soch liya ....koi na koi Rasta dhundo aur yaha se nikalo ...... ....... Aur hum teeno bhagne lage,...but achanak se pata nhi kaha se shalu humare saamne aake khadi ho gayi ..... Aur hum teeno usko dekh kar wahi ruk gaye .... Wahi side me ek lakdi ka ganda tha ... Karan ne vo ganda uthaya aur shalu ko maarne ke liye bhaga.... But shalu nska gala pakad liya ..... Aur usko side me dakka de diya .... me bhi Savita ko lakar dusri tarf bhaga but .... Usne Savita ki taang pakad ke usko bhi dur dakka de diya .... aur mujhe apne ek hath se uper utha liya .... ... mujhe to samjh hi nahi aya ki isme itni jaan kaha se aa gayi.... lakin fir karan aya aur usne .... shalu ke sir ke piche ganda maara ... but uska shalu pe koi asar nahi hua ...

Aur ekdam se shalu ne mujhe niche chordd diya .... Aur vo ekdam se vo jameen pe gir gayi... bilkul shant .... ekdam chup .......... Phle to hum samjh nahi paaye ki ekdam se kya ho gaya ..... But jab humne uper aasmaan me dekha ... to waha pe suraj nikal aaya tha.... ...Karan ne mujhe aur Savita ko bola chalo yaar yaha se nikalte hai.... ab to halki si roshni bhi aa gayi hai ..... Aur humne shalu ko wahi chord diya ... aur waha se nikalne lage .... Ab subha bhi ho chuki thi.. to halki si Roshni bhi ho gayi thi ... aur mujhe waha ka rasta to pata hi tha... To me sabko kille ke gate ki tarf lakr jaane laga ... Aur hum sab us kille ke bhahar nikal gaye ... gate ke bhahar hi PCR khadi thi.... Hum sab unke paass gaye...aur humne unhe sab kuch bata diya.... humari baat sun kar unhone ... 1 Aur PCR bulayi ... kariban 15 min ke bad waha dusri PCR aayi ... aur kuch logo ki help se un saari ..dead bady .. ko bahar nikala gaya ..... Kariban 1 gante baad Shalu bhi Police ke saath bhahar aayi .... Aur police walo ne humse kaha ki aapki dost bach gayi... humne kaha
Ye Humari dost nahi hai ... ye chudal hai ... ,...... But kisi ne humara turst hi nahi kiya..... Waha pe shalu yehi bol rahi thi ..ki ye saare log pagal hai.... jo asi baate kar rahe hai .... police ne humari baato per turst nahi kiya ... aur humse hi Question karne lage .. ki batao ye sab kaise hua .... Fir ek police wale ne bola ..chalo yaha nahi ploice station me jaake hi baat karenge ... aur inke ghar walo ko bhi bata do ... Aur hum sabko ek Hi PCR me batha liya gaya ...... Shalu humare saath hi thi bilkul humare saamne.....................Aur ekdam se vo boli .."""koi nahi bachega""""""!!!!!!!!!

0 comments:

Post a Comment