Enjoyable Movement with My friends....

 
Ek baar ki baat hai me ghar pe bath ke T.V  Dekh raha tha. Us din sunday tha T.V pe kuch khass nahi aa raha tha to maine apne Headphone nikaale aur songs sunne laga, tabi mera phone baja aur maine check kiya to wo karan ka phone tha maine phone uthaya aur waha se karan bola " kya kar raha hai bhai m to yaha naye office me aya hu saalo ne sunday ko bhi bola liya training me batha hu aur bht hi boring training hai''  To me bola "bhai yaha ghar pe mera bhi dimag kharab ho gaya hai" karan bola "koi nahi bhai aaj sham ko milte hai" aur maine kaha" karan bhai Gourav ko bhi le aa sham ko"
 

Aur humne sham ko milne ka plan banaya..... Time tha sham ko 7.00 bje

Hum tino dost karan, me aur Gourav nehru place millte hai Sirf milne ka plan tha but itne m Gourav maharaj bol uthe "bhai agar yaha aye hai to kuch pee kha lete hai" Yaha karan bola "bhai man to mera bhi kar raha hai saala office walo ne dimaag kharab kiya hua hai" Aur maine kaha " thik hai bhai paise milaate hai aur kuch lete hai"



Aur hum tino ready ho gaye to sabne paise milaye aur humne Ek royal stag ka haaf liya aur Icici bank ke piche bath kar pine lage..... Time tha 7.30 bje ka

Hunme pina start hi kiya tha ki karan bola"bhai mera na dimaag kharab ho gaya hai kutto ki tarh bus kaam karte jaa raha hu but abi tab maine liye kuch nahi kar paya"  karan ki baat sunke Gourav bola "bhai tu itna pareshan nahi hoga jitna ki me hu , me to apni life se frustrated ho chuka hu" aur maine kaha " haa yaar sahi kah rahe ho tum dono na to achi job hai aur na hi paisa, aur meri life ke lode lage hue hai uper se Credit Card ka bill bhi pay karna hai" Aur Gourav Bola " saale agar haathi paalega to khana to khilaana hi padega na" Hum apni Bakchodi me lage hue the ki mere pass phone aya Raj ka maine phone uthaya aur waha se raj bola "bhai kaha hai aajkal yaad bhi nahi karta" maine kaha "bhai me to Nehru place me bath kar Pee raha hu agar ana hai to aa ja"  Raj Bola "bhai aa to jaaunga per paise nahi hai mere paas" maine kaha "koi baat nahi tu aja me kar dunga" 



Yaha Gourav ne kaha bhai agar raju yaha ayega to me ghar jaa raha hu, maine usse roka aur kaha ki yaar kabi kabi to milna hota hai mil le .. karan ne bhi bola "bhai Gourav koi baat nahi tu baat mat kariyo usse" , Aur me bola "haa aur kya Dikkat kaha aa ri hai"  aur humari baat sunkar vo maan gaya, maine dubaara Raj ko phone lagaya aur maine kaha "bhai kab tak ayega yaha pe" vo Bola "bhai bus 10 min me waha aa gaya aur mere sath neeraj bhi hai"

Hum ussi jagha pe bath kar pee rahe the aur maine kaha ki bhai tum dono batho me wine shop se ek haaf aur laker aa raha hu Un dono ne kaha thik hai bhai jaa lekar aa,  aur me waha se nikal kar wine shop pe gaya aur maine ek aur royal stag ka haaf liya aur wapas Icici bank ke piche gaya to maine dekha ki Raj aur Neeraj dono waha aa chuke the....
humne hath wath milaaya aur usi jagha pe pine bath gaye................ Gourav  aur Raj me humesha ki tarha jhagde ho rahe rhe, Tabi Karan bola "Kapil bhai next Sunday kaa plan hai hum Sab jaa rahe hai tughlaqabad fort , Jisme me Gourav, Shalu, Savita, neeraj Aur Raj bhi hai ........... Aur humaare saath is baar tu bhi chalega kyuki kaafi time se tu humaare saath nahi chala"   aur maine kaha " agar me free hua to bilkul chalunga"  To Gourav Bola "haa haa tere bade business chal rahe hai joo tu free nahi hoga" Aur maine kaha "Dekh yaar Sunday abi dur hai dekhte hai" Karan bola " nahi yaar is baar tu pakka chal raha hai" .........



Hum usi baat pe discuss kar rahe the ki Karan ke pass Savita ka phone aya Aur Boli " Karan kaha ho tum sab"  karan Bola " hum sab nehru place me the kyu kya hua"  Savita Boli " kya coincidence  hai hum bhi yaha nehru place me the",.  karan bola "hum se kya matlab aur kon hai tere sath"  Savita Boli "me aur shalu yaha kuch samaan lene aaye the aur ab ghar jaa rahe the".......... Ye baat sun kar karan ne pucha kaha ho tum log aur unhone bataya ki metro station ke niche .... to Karan ne kaha tum dono wahi ruko hum aa rahe hai........

Hum chalne lage to me bola " bhai is daaru waaru ko kahi rakh do acha nahi lagega" Gourav  bola haa haa bhai sahi bol raha hai tu .... To humne daaru ko neeraj ke beg me daala aur metro station ke taraf chal diye.........Time the kuch 8.30 PM,

Hum sab metro station ke niche pahuche but waha koi nahi tha to Gourav ne shalu ko phone kiya aur pucha kaha ho tum dono hum metro station ke niche aa gaye, Shalu ne bataya ki vo dono metro station ke niche wale KFC me bathe hai, To hum sab KFC me chale gaye , Dono wahi bathi hui thi hum unse mile haath waath milane ke baad ussi table per bath gaye ....... Aur Neeraj Bola " Aaj to saare ke saare yaahi mil gaye ek saath" Savita Boli" Haa yaar asa bht kam hota hai aur kabi kabi" Karan Bola " kitna acha lagta hai yaar hum sab saath me bathte hai baat karte hai"  Gourav Bola "Ase din life me kabi kabi hi ate hai" Savita Boli" yaaar tum sab ka pakka hai na Sunday ko" Raj bola "tughlaqabad fort na pakka hai mera to baaki in sabse puch lo"  Karan bola "mera bhi pakka hai Aur Gourav bhi ayega , neeraj ka bhi pakka hai ... but Kapil kaa kuch pakka nahi lag raha humesha ki tarh"  Aur Savita boli "Dekh Kapil is baar tera koi drama nahi chalega ki mummy ke saath chala gaya waha chala gaya tujhe aana hai pakka anna hai"
Aur Maine kaha chalo thik hai me pakka aaunga ....... Yaha Savita Boli " tune pahle bhi asa hi kaha tha but aya nahi"Fir maine kaha nahi is baar asa nahi hoga me pakka aaunga aur waise bhi tughlaqabad fort to mere ghar se bht pass me hai To mujhe kya dikkat hai.... Shalu boli "Yaar Savita mujhe lagta hai ki hume chalna chahiye kyuki 9.30 baj chuke hai"Savita boli "haa yaar chalna chahiye" .....to Karan bola chalo hum tumhe tumahre ghar ke near by metro station tak Chordd de ,,,, Shalu Boli "nahi nahi yaar tum log late ho jaaoge" Neeraj Bola " koi baat nahi hum to kabi bhi ghar jaa sakte hai"



Aur hum sab tokan lene ke liye ticket counter pe gaye aur waha hume ek ajeeb si baat sunne ko mili Ticket Counter wale ne hume bataya ki is root pe kaam chal raha hai to is wajah se saari metro aaj sham 7 baje se band kar di gayi hai ... but sirf is rootki metro hi band hai......!!!  humne socha ki inhe karol bhag jaana hai to yaha se bus le lete hai.... But Savita boli agarbus se gaye to bht late ho jayenge ek kaam karte hai auto se chalte hai ...Shalu maan gayi aur hum sab metro station kebahar ki taraf chal diye.... Raste me chalte chalte shalu ekdam se boli Gourav Ruk ,,!!  

Gourav  ruka aur bola kya hua shalu boii "dekh tere paaro ke niche neebu hai agar me tujhe nahi rokti to tu is per apna paar rakh deta aur ye apshagun hota hai"  Gourav bola "agar tu ese apshagun kahti hai to ye leeee.....!!""  ......... Aur Gourav us neebu pe zoor se laat maar deta hai .. Tabi karan Bola "bhai tu pagal to nahi ho gaya" ....... neeraj bola "bhai tuje daaru chad gayi hai tabi tu itne drame kar raha hai"  Gourav bola "abe yaar tum sab log pagal ho gaye ho asa kuch nahi hota vo sirf ek neebu hai"
Tabi savita kahti hai "nahi yaar Gourav sadak pe pade hue neebu pe kabi laat nahi maarte" Raj bola "abe yaar chorddo ye saari baate ab nikalte hai"

Aur hum sab waha se nikal kar auto wale ke pass pahuche......... Time the kuch 10.00 PM,

Humne auto wale se pucha karol bhag jaana hai, vo taiyaar ho gaya aur kaha 350rs lagenge .... hum ready ho gaye aur sab auto me bathne lage to auto wala bola "bhaiya itne saare log nahi jaa sakte" humne kaha bhai ek kaam kar tu extra paiselele but saare jaayenge , to vo bola bhaiya Police pareshan karegi humne kaha koi baat nahi hum samaal lenge tu bus chal............... to taiyaar ho gaya aur kaha "bhaiya 50 rs extra lunga" Gourav bola "thik hai bosdike le liyo bus bakchodi matkar chup chap chala"  auto wala Bola "bhaiya gaali kyu de rahe ho" fir humne saara matter samaal liya ... Aur auto wale ko kaha ki bhai koi baat nahi tu chal hum late ho rahe hai.... vo chalne laga ...!!

Hum sab auto me the aur kariban aadha raasta hum paar kar chuke the aur Time bhi kuch jada ho chuka tha 10.30 PM. Tabi Savita ke Ghar se phone ata hai ,, Aur Wo apne ghar walo ko saari baat batati hai aur kahti hai me bus ghar aa rahi hu..... Jis raaste me hum chal rahe the vo raasta bada sumsaan sa tha ... Tabi Neeraj bola "bhai hum kab tak wapas aa jaayenge"
Gourav ne kaha "kyu teri Fat rahi hai kya Sumsaan se rasta dekh kar" To Neeraj ko Darane ke liye karan bhi bola " bhai neeraj is raste pe bhoot bhi ho sakta hai" ...... Bus inti hi baat hui thi ke achanak se auto band ho jaata hai .. auto wala auto ko side me lagata hai aur kahata hai ki bhiya lagta hai ki auto kharab ho gaya ...... Karan kahta hai "to bhai thik kar isse ye rasta bhi asa hai ke dusra nahi milega"  Gourav bola "haa bhai ye to baat hai dusra auto yaha se to nahi milega"..

Auto wala auto ko thik kar raha tha aur hum sab side me khade the ........ Time the kuch 11.00 PM

Hum Sab side me khade hokar baat kar rahe the ki Neraj Bola "Kapil Bhai mujhe toilet aa raha hai" maine kaha "bhai itni jagha hai kahi bhi kar de ... Dekh Raod ke us taraf jungle hai waha chale jaa" ... Humari baat sun kar Auto wala bola bhai jada dur mat jaana Karan Bola "kyu bhai kya ho jayega agar dur jayenge to"... auto wala bola "bhiya is area me kuch gadbad hai ...log kahte hai ki yaha per ek ladki ki aatma bhatakti hai."  Raj Bola "aur usski aatma Bhatakti kyu hai" Auto wala Bola "bhiaya uske pati ne usse Zinda hi jaala diya
tha issi jungle me ..aur tabi se yaaha uski aatma bhatakti hai"  maine kaha "ye sab tu hume daraane ke liye bol raha hai" .. Tab Auto wala Bola "bhaiya me aapko daara nahi raha me to bus sach bata raha hu" ye Sunkar Neeraj Bola "bhai me toilet baad me hi kar lunga" 

But Gourav bola "Saala fattu kahi kaa chal me bhi chalta hu tere saath"...... Aur Gourav aur Neeraj jungle me chale jaate hai....

Vo dono jaa hi rahe the ke achanak se  ek ajeeb si baat hoti hai......... Ekdam se shalu bhagti hui jungle ki taraf jaati hai Gourav aur Neeraj dono ko dhakka dete hue jungle ke andar chali jaati hai ....Savita Bolti hai "Ese kya hua ye kaha jaa rahi hai"  hum sab usske piche bhagte hai Aur kuch dur jaane ke baad vo ekdam se ruk jaati hai .... Hum Sab waha pahuchte hai aur shalu wahi khadi hui thi ... humne usse pucha


kya hua yaar tu ekdam se yaha kyu aa gayi ... aur vo bus chup chap khadi rahti hai kuch bolti hi nahi hai... Hum sab thoda dar jaate hai...but fir Shalu bolti hai "Saare dar gaye kya"  aur Zoor se hasne lagti hai Aur kahti hai "bade fattu ho yaar tum saare ke saare ... Mazak kar rahi
thi me aur tum sach me dar gaye"  Neeraj kahta hai yaar asa mazak mat kara kar ..... Fir Hum sabne usse bola asa mazak nahi aur ye area bhi acha nahi hai ..... Tabi auto wala awaaz lagata hai "bhaiya aajao Auto sahi ho gaya"   hum sab Fir se auto me bath jaate hai aur vo autp chalane
lagta hai

Hum sab karol bhag pahuch chukke the.......Time tha kuch 11.30 PM,Humne un dono ko ghar pe chorda aur wapas jaane lage tabi Unhone bola "Sunday Done hai na"  Aur hum sab ne kaha Pakka Done hai Sunday ko... Ye kah kar hum waha se chal diye aur ussi Auto me bath kar wapas badarpur chale gaye.... Aur badarpur me hi bath kar humne daari pee.. uske baad maine kaha "bhai me to jaa raha hu Badarpur me hi meri Sistr rahti hai to me wahi jaauga" ... Karan Bola "Haa haa yaar late to hum ho chukke hai chalo yaar ghar nikalte hai" baaki Sunday ko milte hai .. Aur Sab ghar chale gaye.....!!!


Sanday Kaa din..... Time the kuch Subha ke 9.00 AM

Me apne ghar pe papa ke saath batha tha tabi mere pass Savita ka phone ata hai Aur Savita Bolti hai "Kapil kaha hai aur kitne beje milna hai" Maine kaha "plan to tumhara hai tum batao kaha aur kaise milna hai"  Savita boli "yaar ek kaam karte hai Saket metro Station pe milte hai Sab 11 baje.." maine kaha "thik
hai Sabko bata de" Savita bolu "me Shalu aur karan ko bata deti hu baaki sab ko tu bata de" Maine Kaha "thik hai chal me sabko phone karta hu"...... uske bad maine Gourav ko Phone milaya Aur maine usse kaha "bhai 11 bje Saket pe milna hai" vo Ready ho gaya aur kahne laga " me to aa jaunga baaki sab ka kya"
maine kaha "Baaki Sab ka bhi done hai"....................!!


Abi to Sunday shurru hua hai Kahani me twist abi baaki hai.............!!